Aap bhi blogger banna chahte hai to ban sakte hai uske liye ek blog ke jaroorat hogi chahe to WordPress platform use kar sakte hai website banane ke liye (website kaise banye ke liye yaha click kare agar blogger par blog banana chahte hai to yaha click kare).
Mene is article ko Blogger par dhyan rakhte hue banya hai. Isliye is article par blogger par template upload kaise karte hai ya change karte hai ki steps mene batai hai.
Ek accha design bhi reader’s ko apki site par attract karta hai and sabse important hai content. Agar aapka content badiya hai and blog ka design bhi great hai to ye aapki liye ek plus point hai. Kyunki is-se aapki site or blog ke views bad sakte hai plus apki site accha engangement kar sakti hai.
Kyu aapko blogger template change karna chaiye?
Blogger.com par bhi free template’s hai jo acchi hai but unme kuch kamiya hai jaise menu me drop down ki suvidha nahi hoti, SEO friendly na hona, responsive na hone etc. agar chahte bhi to apne according template me edit’s nahi kar sakte kyunki mostly blogger’s coder nahi hote.
Isliye mera suggestion hai ki aap kisi bhi free template seller par jaye and waha se koi blogger template free me download kare and uski XML format ko apne blog par upload kare.
Chaliye me hi batata hu ki Blogger par Template kaise upload kare (a photo tutorial).
Step 1. Sabse pehle aap koi blogger template sell karne wali site par jaye chae to is link ko click kare http://goo.gl/8ZX7Pu
Step 2. Is page par 6 template hai jinme se koi bhi aap download kar sakte hai apne according. Suppose ki first template hi aapne download ki (image ke according samjhe).
Step 3. upar ke image ke according click karne par aap new website par move honge jaha aapko download link milegi. Mene example ke liye coolmag joki first number par hai ko download karke batya hai.
Step 4. Free Download par click karke aap ek new tab par aayenge jaha aapko download link par click karna hoga and uske baad finally wo ask karega ki aap computer par kaha save karna chahte hai (neeche ki image ka screeshot dekhe and samjhe).
Aap meri baat mane to use desktop par save kare jaise ki mene upar image me kiye hai.
Step 5. Yah ZIP format me save hogi. Desktop par save hote hi neeche ki image ke according aap Cool mag blogger template ke ZIP folder par right click kare and Extract to Cool Mag Free Version\ par click kare (neeche ki image dekhe).
Click karte hi ZIP folder ke andar ka folder desktop par aa jayega Ya ye kahu ki wo ek new & normal folder ban jayega. Ab aap Folder par double click kare and andar ki files dekhe jo ki neeche ki image ke according hai.
Jiase ki upar image me dekh pa rahe hai ki ek file hai jiska name hai Cool Mag Free Version joki XML Document hai or XML format me hai. Ise hi aapko upload karna hai baki files ko upload karne ki jaroorat nahi hai.
Step 6. Ab aap apne blogger blog par jaye jis par blogger template upload karna chahte hai. Waha jakar Backup / Restore par click kare and sabse pehle apne blog ka backup download karle taki jaroorat padne par pehle jaise kiya ja sake. Backup 2 – 5 seconds me hi download ho jayega. Ab usi ke neeche “Choose file” par click kare (neeche wali image dekhe)
Ab upar wali image ke according Cool Mag Free Version (joki XML format me hai) ko double click karke upload kare.
Step 7. Step seven me kuch bhi nahi hai kyunki upload karne ke kuch seconds me hi XML file upload ho jayegi or aapke blogger blog ki template change ho jayegi.
In seven steps ko follow karte hai to aap bhi apne blog joki blogger par template upload kar sakte hai ya blogger blog ki template change kar sakte hai.