Mene already ek article likha hai jsime batya hai ki kaise blogger me contact us page banaye.
Ab is article se me aapko batata hu ki kaise contact us gadget aap add kar sakte hai.
Iske liye aapko kuch simple steps follow karna hogi.
Is gadget ke through koi bhi user apna name, email and message ke through aapse contact kar paayega. Agar koi user email id ya name fill nahi karta hai to wo message nahi bhej payega.
Step 1. Blogger par login kare and apne blog ko choose kare. Layout par click kare Add a Gadget par click kare. Ek window open hogi usme aapko More Gadget par click karna hai jaha Contact Form hoga uske plus icon par click kare.
Step 2. Plus Icon par click karte hi aapna contact us gadget add ho jayega. Jise aap chahe to kahi bhi drag karke add kar sakte hai.
Is gadget ko Footer par rakhna sahi hoga. Agar aap Contact Us page banana chahte hai to yaha click kare.